A poem on "Mumbai"..:)
Yeh Mumbai shahar hai..
yahan chote chote gharon mein,
palte sapne ameer hai..
karodon sapne bidhte hai,
khulti kuch hi ki taqdeer hai..
yeh mumbai shahar hai..
Yahan ke footpath par
zindagi basti hai..
Yahan ki bastiyon mein
ummeed-parasti hai..
yeh mumbai shahar hai..
yahan sadakeinn chowdi hai.
waqt ki kuch kami hai..
yahan chunautiyan hai,
mauke b yahin hai..
yeh mumbai shahar hai..
jahaazon ka aana jaana,
Yeh Mumbai shahar hai..
yahan chote chote gharon mein,
palte sapne ameer hai..
karodon sapne bidhte hai,
khulti kuch hi ki taqdeer hai..
yeh mumbai shahar hai..
Yahan ke footpath par
zindagi basti hai..
Yahan ki bastiyon mein
ummeed-parasti hai..
yeh mumbai shahar hai..
yahan sadakeinn chowdi hai.
waqt ki kuch kami hai..
yahan chunautiyan hai,
mauke b yahin hai..
yeh mumbai shahar hai..
jahaazon ka aana jaana,
ba-dastur jaari hai.
Iss shahar ko jaise,
insomnia ki bimari hai.
yeh mumbai shahar hai..
Iski tareekh mein,
yeh mumbai shahar hai..
chotein behisaab hain.
Samundar iska hamdard,
lehrein jaise ilaaj hai.
yeh mumbai shahar hai..
shahar toh hai,
bass shahar toh nahi..
raatein yahan jaagti hai,
bas din dopahar nahin.
Yeh mumbai shahar hai,
yeh khwabon ka shajar hai.
Shajar => Tree
Ummeed-parasti => Worship of hope
Image Source: http://www.wetcanvas.com
Yeh Mumbai Sehar hai aur chote chote sapnay leka aatay hai. Perfect tribute to maximum city:)
ReplyDelete@vishalbheeroo Thanx a lott..:)
ReplyDeleteThis post has been selected for the Tangy Tuesday Picks this week. Thank You for an amazing post! Cheers! Keep Blogging :)
ReplyDelete@Team Blogadda
DeleteThank you so much!!
Nice :-)
ReplyDelete@mindbrewblog Thank you!!..:)
DeleteMaximum City... A good tribute, Dhiren :)
ReplyDeleteThank yoy Aayesha..:)
Delete