A small hinglish(:P) poem on internet and childhood..:)
Yun toh internet par jahan milta hai
google lagbhag sab kuch haazir kar jaata hai..
kaho google ko ki mujhe mera bachpan dhund laaye..
kahin se un chori kiye hue aamon ka khattapan yaad karwaye..
kahin se jee-jaan se khelne ki woh talab khoj laaye..
Yun toh internet mein jahan milta hai
yun toh facebook par kaafi "friends" hai,
par bachpan ke yaaron ki yaariyan kahan hai..
chat karna beshak suvidhajanak hai,
par bachpan ki woh baatein hi kahan hai..
Yun toh internet par jahan milta hai..
yun toh khali padi hai GBiyan cloud ki..
par kis format mein, main yaadein bayan karun?
Chalo kuch likhdun, kuch taveerein daal dun,
par ehsaas kahan save karun?
Yun toh internet par jahan milta hai!!

Nice. :)
ReplyDeleteDo read my blog as well http://ankaheshabd.wordpress.com/
Thank you for stopping by!
DeleteWill surely read ur blog..:)
Very real
ReplyDelete@Chitra Thank you!!
ReplyDeleteThe stark truth!
ReplyDeleteThank you Ayesha..:)
Deletevery true and nice written
ReplyDeletevery true and nice written
ReplyDeletevery true and nice written
ReplyDelete