A very random poem on expressing importance of every entity on this universe.
Its a celebration of their existence..:)
Aao aaj sabko unke hone ka ehsaas karayen..
Its a celebration of their existence..:)
Aao aaj sabko unke hone ka ehsaas karayen..
Suraj ko aaena dikhayein,
Batayen use
Kaisi lagti hai roshniyan?
Batayen use
Kaisi lagti hai roshniyan?
Aao aaj sabko unke hone ka ehsaas karayen..
Chand par thodi chandni chidkein..
Dikhlayein
Kaisa lagta hai woh asman par chamak ke?
Dikhlayein
Kaisa lagta hai woh asman par chamak ke?
Nadiyon ki kuch pyaas bhujayein..
Samjhayen
Kaisa lagta hai peekar un se?
Samjhayen
Kaisa lagta hai peekar un se?
Aao aaj sabko unke hone ka ehsaas karayen..
Chalo khushboo ko b insan banayen..
Batlayein..
Kaisa lagta hai use mehsus kar
ke?
Batlayein..
Kaisa lagta hai use mehsus kar
ke?
Aao aaj sabko unke hone ka ehsaas karayen..
Chalo hawaon ko kuch zinda karein
kahein..
Yeh zindagi unke hi dum se hai..
Aao aaj sabko unke hone ka ehsaas karayen..
Yeh ehsaas,
ek samman hai,
apne astitva ka,
apne karma, kartavya ka..
Yeh ehsas,
batlata hai ki,
iss badi si dunia mein sabka apna hissa hai,
sabka apna mahattva hai,
sabka apna hi kissa hai..
Aao aaj sabko unke hone ka ehsaas karayen..
This post has been selected for the Spicy Saturday Picks this week. Thank You for an amazing post! Cheers! Keep Blogging :)
ReplyDeleteThis post has been selected for the Spicy Saturday Picks this week. Thank You for an amazing post! Cheers! Keep Blogging :)
ReplyDeleteLovely post :)
ReplyDelete