A poem on being in tune with the moment. I have used colour as a metaphor of mood in the present moment. It gives a message of letting go yourself.
Bass ghul jaa,
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Bass ghul jaa,
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Jab dhup hoti hai,
Aasman b peela peela hota hai..
Jab shaam hoti hai,
Samandar b neela neela hota hai..
Aasman b peela peela hota hai..
Jab shaam hoti hai,
Samandar b neela neela hota hai..
Bass ghul jaa,
Rang mein, iss pal, ke rang jaa..
Rang mein, iss pal, ke rang jaa..
Kabi bundein shikayat karti hai,
Ki bahav kahan le jaa rha hai?
Shikayat toh khushbuein b nahi karti,
ki jhonka kahan jaa rha hai?
Ki bahav kahan le jaa rha hai?
Shikayat toh khushbuein b nahi karti,
ki jhonka kahan jaa rha hai?
Bass ghul jaa,
Rang mein, is pal ke, rang jaa..
Rang mein, is pal ke, rang jaa..
Ban iss pagal khoon sa,
Sunta woh kahan kisi ki hai..
Bas ragon mein daudta hai,
Bematlab, bewajah hi..
Sunta woh kahan kisi ki hai..
Bas ragon mein daudta hai,
Bematlab, bewajah hi..
Bass ghul jaa,
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Kuch khidkiyan khol,
Mila de mausamon k rang..
Hogi kuch dhul,
Par kuch roshniyan b hongi sang..
Mila de mausamon k rang..
Hogi kuch dhul,
Par kuch roshniyan b hongi sang..
Bass ghul jaa,
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Jab taal baje toh thirakle,
Fir sanyam ki baat na kar..
Jab khwab dikhte hai toh wahi sahi,
Tab haqeeqat ki baat na kar..
Fir sanyam ki baat na kar..
Jab khwab dikhte hai toh wahi sahi,
Tab haqeeqat ki baat na kar..
Zindagi rangrez hai,
Bass ghul jaa,
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Rang mein, iss pal ke, rang jaa..
Good one... Keep writing :)
ReplyDelete@vijay thanx a lott! Will surely try to write!
DeleteSuch a beautiful and deep meaning poem!!
ReplyDeleteLoved it so much.. you should add an English version as well. (I feel so tempted to translate it..)
Thank you! Will surely translate it asap!
DeleteMeanwhile even you can give it a try!..encouraged..:)