A poem about my thoughts on "Questions" and their interpretations..
Yeh sawaal
hai..
Kaise? Kyn?
Kab? kahan?
Yehi
baatein hai yahan wahan..
Jab shak
hota hai sawaal uthta hai..
Jab haq ki
baat ho tab bi sawaal uthta hai...
Hairani ho
toh sawaal..
Pareshaani
ho toh sawaal..
Sawaal
aaturta dikhlata hai..
sawaal
chaturta darshata hai..
Sawaal
parakhte hai..
Sawaal
nikharte hai..
Sawal
betuke bi hote hai...
Sawaal
anokhe bi toh hote hai..
Sawaal
bewajah bi hote hai..
Sawaal
bejawaab bi hote hai..
Sawaal hai
tabi toh naye khayaL nayi soch hai..
Sawaal hai
tabhi toh naye aawishkar nayi khoj hai..
Sawaalon ki
apni hi duniya hoti hai..
Duniya k bi
apne sawaal hote hai..
Sawaal
mahaz sawaal nahi hai..
magar
Sawaal aakhir toh sawaal hai..
Sawaal kya
hai..yeh b toh abtak sawaal hai..
Yeh sawaal
hai..
In sawaalon
se hi toh saara bawaal hai..
-Dhruvv
Comments
Post a Comment
Reactions are encouraging!
Have your say!
(You can comment using facebook plugin as well)