Hear the recital of this poetry A simple poetry on convenience, inertia of human beings. Mann jo chahta hain, wahi hum karte hain.. bas tasalli k liye hum bahana chahte.. humein pata hai ki, subah ka vyayaam faaydemand hai.. par neend ki kami ka hawala dekar, aankhein khol kar fir so jaate hai.. bas tasalli k liye bahana chahte hai.. woh new year resolutions, jo saalon se hum dohra rahein hain.. aaj tak uss 'new year' ka intezaar kar rhe hain, Thak gaye hain woh, apna naam badalkar 'new year excuses' karne ka vichar kar rhe hain! bas tasalli k liye bahana chahte hai.. asal mein yeh jadhta, sirf rojmarra ki zindagi mein hi nahi, Vicharon mein bhi jaa baithi hai.. kuch galat hota hai toh use badalne k bajay, uss galat mein kuch sahi dhundhne lagte hai.. kuch 1 pratishat bhi sahi mil jaaye, toh use 100 pratishat samajhkar mann shant kar lete hain.. bas tasalli k liye bahana chahte hai.. Ek hi jagah rehkar, bhala kaun aage badh saka hai? aage badhna hai, toh...