A poem about my thoughts on "Questions" and their interpretations.. Yeh sawaal hai.. In sawaalon se hi toh bawaal hai.. Kaise? Kyn? Kab? kahan? Yehi baatein hai yahan wahan.. Jab shak hota hai sawaal uthta hai.. Jab haq ki baat ho tab bi sawaal uthta hai... Hairani ho toh sawaal.. Pareshaani ho toh sawaal.. Sawaal aaturta dikhlata hai.. sawaal chaturta darshata hai.. Sawaal parakhte hai.. Sawaal nikharte hai.. Sawal betuke bi hote hai... Sawaal anokhe bi toh hote hai.. Sawaal bewajah bi hote hai.. Sawaal bejawaab bi hote hai.. Sawaal hai tabi toh naye khayaL nayi soch hai.. Sawaal hai tabhi toh naye aawishkar nayi khoj hai.. Sawaalon ki apni hi duniya hoti hai.. Duniya k bi apne sawaal hote hai.. Sawaal mahaz sawaal nahi hai.. magar Sawaal aakhir toh sawaal hai.. Sawaal kya hai..yeh b toh abtak sawaal hai.. Yeh sawaal hai.. In sawaalon se hi toh saara bawaal hai.. ...
Live..Learn..Think