Skip to main content

Posts

Showing posts from 2011

Bachpan..

Wo bachpan hi toh hota hai.. jub hum 'hum' hote hain.. jab chidiyon ki awaaz ko hum 'shor' nahi kehte.. jab baarish ki bundein humein apni our pukarti hai.. jub suraj khud aakar humein jagata hai.. jab chaand-taare kaafi the, puri raat guzarne ke liye.. jab mitti se khelna humein 'ganda' nahi lagta.. jab hum bewajah daudte, girte phir uthte hain.. jab humari urja ke liye kisi prerna ki zarurat nahi hoti.. jab galti karne se hum darte nahi hain.. jab har cheez ko puri tarah se jaanne ki tamanna hoti hai.. jab anjaan mahaol mein humein darr lagta hain.. jab in nanhe nainon ko kajal se sajaya jata hai.. jab un khwabon mein hazar rang hote hain.. jab sahi aur galat se ka matlab bi nai pata tha.. jab na koi dwesh aur na koi chhal ka vichar hota hai.. jab paane ki ummeed nai, bas jeene ki dhun sawaar hoti hai.. Wo bachpan hi toh hota hai.. jab jeene ka maksad sirf 'jeena' hota hai..

Mashaal..(In support of Anna Hazare's movement)..

Woh Mashal jalni chahiye.. Seene mein har pal woh aag sulagni chahiye.. yeh ek mauka hai.. maukaparaston ko batane ka.. ki agar humne tumhe badhaya hai.. hum tumhe ruka bi sakte hain.. humne tumhe uthaya hai. toh hum tumhe jhuka bi sakte hai.. Woh Mashal jalni chahiye.. Seene mein har pal woh aag sulagni chahiye. bas ek mashal kaafi hai .. sainkodon ko jalane ke liye.. ab woh mashal  jal chuki hai.. disha ab dikh chuki hai.. bas ab uthkar chalna baaki hai.. aaj na uthe, toh na jaane kab uth paoge.. apne kal ko aaj hi andhkar mein  dhakel jaoge.. Woh Mashal jalni chahiye.. Seene mein har pal woh aag sulagni chahiye.. humari bebasi ki aadh mein.. unhonene tijoriyan bhari hai.. humari lachari ke dum se.. unki imaratein khadi hai.. ab na hum bebas aur na lachar hain.. ab toh hum, bus ladhne ko taiyar hai.. Woh Mashal jalni chahiye.. Seene mein har pal woh aag sulagni chahiye.. pehle jo bundein thi ab sailab ban chuki hai.. pehle jo dia tha woh aag ban c