Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2013

Kudrat bi insaaf kahan karti hai..

Kudrat bi insaaf kahan karti hai.. Woh ghosle mein jo panchi palta hai.. woh uddna seekhta hai.. usse pankh hai.. aatma nirbhar ho jata hai.. Woh pedh par jo patta  hai.. jab tutta hai toh zamein par girta hai.. chhapalon aur gaadiyon tale aa jata hai.. Uska astitva hi pedh hota hai.. aur woh khatm ho jata hai.. Kudrat bi insaaf kahan karti hai.. Log kehte hai.. Ujaala acha hota hai.. Aur bure ka munh kaala hota hai.. Jo pyaas bujata dharti ki.. woh badal kaala hota hai.. jo dararein bharta dharti mein.. woh suraj hai, jisse ujaala hota hai.. Kudrat bi insaaf kahan karti hai..